Murshid Ghazi Lyrics | Nadeem Sarwar 2019

Murshid Ghazi Lyrics | Nadeem Sarwar 2019

Murshid Ghazi Lyrics

Maula Ghazi, Maula Ghazi (8)
Ya Ghazi x3
Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Zainab ki paak dua bankar (3)
Ab ghar ghar par lehrata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka
Tera maula ghazi kya kehna
Tere dar ki naukar kya kehna
Tere naam ki haziri kya kehna
Jahan dastarkhwan ye sajta hai (2)
Us ghar ki shan barhata hai
Alam mere murshid ghazi ka x4

Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Mai ghum se jab ghabrata houn
tou pass alam ke jaata houn
Ro ro ke Maula Ghazi ko
Mai dil ka haal sunata houn
Mere sar par saya karta hai (2)
Meri himmat aur barhata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Ya Ghazi, Ya Ghazi
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
Abbas karam farmao na (2)
Kabhi mojiza ye dikhlao na
Mere ghar bhi saja hai tera alam
Kabhi mere ghar bhi aao na
Sarkar mere ghar aaenge (2)
Mere dill ki aas barhata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Ye parcham aman ka naara hai
Ye parcham paak sahara hai
Tu pyar kare to tera hai
Mai pyar karu to mera hai
Jo iske deep jalata hai (2)
Ye uske bhaag jagata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Zawwar jo ghar se chalta hai
Ye Usper saaya karta hai
Ghar se ghar tak pohchane ki
Abbas zamanat deta hai
Laakhoun zawwar jo chalte hain (2)
Unhe karbobala pohchata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Ya Ghazi, Ya Ghazi
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi
Haan mashk o alam se yaad aayi
Pyaas Asghar aur Sakina ki
Mazloom Hussain ki tanhai
Zainab bazaar main kyu aayi
Jab paak alam ye uth ta hai (2)
Har manzar yaad dilata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)

Jab aath moharram aati hai
Ghazi ki yaad dilati hai
Jawwad o Sarwar ye duniya
Abbas ka sog manati hai
Us waqr juloos-e-Matam main (2)
Har Matamdaar uthata hai
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Mai nauker, haa mai nauker
haa main naukar maula Ghazi ka
Alam mere murshid ghazi ka (2)
Ya Ghazi, Ya Ghazi
Ya Ghazi, Ghazi, Ghazi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply