Rona Bhi Hai Baba Pe Lyrics
Haye sakina..(2)
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
zindaa’n mein sakina ko..(2)
ye ghum bhi uthane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Shabbir ke baccho’n mein, ek aisi yateema hai
maloom nahi hota, murdaa hai ke zinda hai
zalim ke tamacho’n se, haye
zalim ke tamacho’n se, rukhsaar bachane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Masoom si bacchi pe, ye zulm bhi dhaate hai
roye to satate hai, chup hoto rulate hai
kab jaane hansi thi wo, haye
kab jaane hansi thi wo, ab beete zamane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Ek shab ki musafat pe, taqdeer hi badli hai
ke zadd pe tamacho’n ki, kamsin si wo bacchi hai
qurbaan hue jispe, haye..
qurbaan hue jispe, abbas ke shane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Darr apni jagah lekin, kuch yu’n bhi nahi roti
ye soch ke chup hai ke, jis waqt riha hogi
tab turbat e asghar pe, haye
tab turbat e asghar pe, kuch aansu bahane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Shabbir se sabir ki, beti ye sakina hai
qaidi bhi hai be bus bhi, zakhmi bhi hazeena hai
par sabr ke sab jauhar, haye
par sabr ke sab jauhar, zalim ko dikhane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Salman ya meesum ho, ya koi bhi zakir ho
bus ek bhi lamhe ko, aisa ho agar socho
ghutt ghutt ke sisakte ho, haye
ghutt ghutt ke sisakte ho, aur nauhe sunane hai
rona bhi hai baba pe aansu bhi chupane hai..(2)
Haye sakina..(4)