Muhammad Ka Gharaana Lyrics

Muhammad Ka Gharaana Lyrics

Muhammad Ka Gharaana Muhammad Ka Gharaana
Muhammad Ka Gharaana Muhammad Ka Gharaana

Aise hote hai Mohammad ke gharane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale
Noke naiza pe bhi qur’aan
Noke naiza pe bhi qur’aan, sunane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Ye jafao’n ke sile mein bhi dua dete hai
Apne qatil ko bhi sharbat ye pila dete hai
Ek sajde se ye islam.
Ek sajde se ye islam. Bachane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Ek mashkeeze mein darya ko utha lete hai
Ye to khud pyaas ko darya ki bujha dete hai
Pyaase darya se palat kar hai
Pyaase darya se palat kar hai, ye aane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Baat ho haqq ki to ye maut se ghabrate nahi
Ilm hai inko shahadat hai shehad se sheeree’n
Maut ko jeene ke aadab
Maut ko jeene ke aadab, sikhane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Apne haatho’n pe uthate hai kabhi khaiber ko
Aur zara maqtal e akbar ki taraf to dekho
Budhe kaandho’ pe jawaa’n laash
Budhe kaandho’ pe jawaa’n laash, uthane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Door tareekiye aalam ko kiya shahe zaman
Naam e ahmed ke diye karke dilo’n mein roshan
Apne khaime ke charagho ko
Apne khaime ke charagho ko, bujhane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Laashe paamaal hui qaidi bane ghar bhi jala
Phir bhi paigham mohammad ka mitaye na mita
Tanha nau laakh ke lashkar ko
Tanha nau laakh ke lashkar ko, harane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale

Humne yu meesum o salman baqa paayi hai
Chauda sadiyo’n se jo naslo’n mein azaa aayi hai
Nasl dar nasl azadaaar
Nasl dar nasl azadaaar, banane wale
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale..
Aise hote hai Mohammad ke gharane wale.
Mohammad ka gharana Mohammad ka gharana

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply