Meri Sakina Ko Neend Arahe Hai Lyrics | Raza Abbas Zaidi 2010

Meri Sakina Ko Neend Arahe Hai Lyrics | Raza Abbas Zaidi 2010

Bano a.s Yay Abid a.s Ko Batla Rahe Hai
Meri Sakina a.s ko neend aa rahi hai
1) Kehdo hawaaon se aahista aayein
Kehdo parindon se ghul na machaayein
kehdo andheron se waapas na jayein
Jaagi huwi chain kuch paa rahi hai
2)Shaayad rasan ki aziyat huwi kam
Madham karo bibiyon shore maatam
Sajjad zanjeer bole na is dam
Shaayad ghamo ki ghari jaa rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
3)Ye shaame gharibaan ki jaagi huwi hai
Tamaachon ke dar se nahi so saki hai
Zara phir gale se rasan jo khuli hai
Sukun se jo ab saans le pa rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
4) Zinda ka dar zor se ab na kholo
Ay pehre daaro ab ahista bolo
Tum bhi to jaage ho kuch der solo
Baba ki khushbu ise aa rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
5)Ke ab dharkanein jib phir is pe gira hai
Na bhaayi hai nazdik na is ki maa hai
Kaanon se khun ho ke ab bhi rawaan hai
Magar aankh bojal ye samja rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
6) Mein khush hun ke soyegi meri dulaari
Mein qurbaan is ke mein ab is ke waari
Bohat seh chuki dukh ye ghaazi ki pyaari
Magar nabz kuch aur batla rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
7)Magar ye huwa kya ke zindaan roya
Badan ruh ke saath bachi ka soya
Na jaagi wo aabid ne shaana hilaaya
Ab maa aaj kehte bhi sharma rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai
8)Kahan tak likhunga mein Rehan noha
Kabhi shaam jaawun to dekhun wh roza
Jahaan qaidi bachi ka marqad hai tanha
Jahaan maa abhi bhi kahe jaa rahi hai
Meri Sakina a.s ko Neend Aa Rahe Hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply