Jhoola (Mola Ali Asghar)
Jhoola
Haye Asghar, Haye Asghar
Haye Ali Asghar, Haye Ali Asghar
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Kabhi Chooma Kabhi Seene Say Lgaya Jhoola
Dekh Kar Roti Rahi Asghr e Besheer Ko Maa
Shab e Ashoor Bohot Dair Jhulaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Ro Pari Bano e Muztar Jo Yeh Manzar Dekha
Khaaq Pey Hath Say Bachi Nay Banaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Ali Asghr Ko Sada Dey Kar Tarapti Thi Rubab
Raastay May Ju Kabhi Saamne Aya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Bhai Ki Yaad May Rotey Hue Behosh Hui
Jab Nazar Fatima Sughra Ko Na Aya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Rakh Bhi Ayi Hay Lootey Hue Asbaab Ky Sath
Kalma Goyo Nay Hy Kuch Aese Jalaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Agai Shaam Se Rotey Hue Asghar Ki Behan
Jab Sar e Farsh e Aza Hum Ny Uthaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Neem Shab Aati Hy Bibi Koi Girya Karna
Jab Say Ghr May Ali Asghar Ka Sajaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola
Phir Kabhi Rizq Ki Tanggi Nahi Dekhi Yasir
Rooz e Ashoor Ju Faqay May Uthaya Jhoola
Maa Nay Rotey Hue Asghar Ka Jhulaya Jhoola