Ya Zahra Ali Lyrics Nadeem Sarwar 2015

Ya Zahra Ali Nadeem Sarwar 2015 – Nadeem Sarwar Lyrics

Noha Khwan Nadeem Sarwar

Ya Zahra Ali

Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
khoon se likhe huwe halaat suno
ya zahra, ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra
Momino qissa e sadaat suno
thaam kar dil ye meri baat suno
noor e kaunain madina hai jaha’n
ek mahella bani hashim hai waha’n
ek mahelle ke ek ghar ka bayaa’n
jisse behtar nahi duniya mein makaa’n
deen o eemaan ke kirdaar ka ghar
panjetan paak ke anwaar ka ghar
dukhtar e Ahmed e mukhtar ka ghar
fatima haider e qarrar ka ghar
laadle..(3), inke hasan aur hussain
aur do betiya’n thi noor e ayn
ek kulsoom thi, ek baap ka zayn
aur abbas dilo jaan ka chayn
ghar ye tha bayt e khuda
jisme qur’aa utra
aur kis tarha luta
inka rutba na zamana samjha
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra
Kaisi mazloom magar thi zahra
baap ke ghum me bhi rone na diya
haq se mehroom kiya wa abata
aaj bhi jiski lahad be saaya
jispe jalta huwa darwaza gira
hogayi pehlu shakista zahra
qatl mohsin bhi hua wawaila
baad e zehra wo ali ka girya
masjide..(3), kufa me phir shor utha
haaye haider pe chali teghe jafa
thi sada fusto be rabbil kaaba
ghar mein zehra ke qayamat thi bapa
sar se saaya jo utha
ghar ye veeran huwa
thi yateemo ki buka
haaye baba, haaye baba baba
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)
Baad e haider ye sitam aur huwa
khoo’n mein shabbar ka janaza dooba
aur phir deen jo mushkil mein ghira
tab hussain ibn e ali ghar se chala
karbala jaise hi pohcha kunba
phir to kya zulm na sayyed pe huwa
milke laakho’n ne unhe gher liya
teen din pehle to paani na diya
aur phir..(3)
maqtale sadaat sajaa
bhanje, bete, bhatija na raha
na wo lashkar na alamadaar bacha
asr se pehle wo halmin ki sadaa
chal gayi teghe jafa
khoon bekas ka baha
sar suwe naiza gaya
tan ko aghosh me zehra ne liya
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)
Aa gayi shaam e ghareeba’n haye haye
aur phir aag lagi khaime jale
ghash se jab aabid e beemar uthe
qaidi kunbe ke wo salaar bane
haaye sajjad ne kya kya dekha
sar khule shaam me kunba dekha
jashn darbaar mein hota dekha
choti hamsheer ka laasha dekha
qaid se..(3), chutke chale karbobala
sab ka chehlum kiya matam bhi kiya
qafila jab ye madine pohcha
ab baya’n sarwar o rehan ho kya
haye matam tha bapa
jab ye zainab ne kaha
na rahi meri rida
amma mai aagayi bhai na raha
ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra, ali, ya zahra..(2)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply