Tu Hai Bara Rehman Lyrics
Allah Allah Allah
Allah Hi Allah
Tu Hi Tu Allah
Jo Muhammad Ka Wafadar Hai Allah Us Ka
Karbala Us Ki
Najaf Us Ka
Madina Us Ka
Zindagi Hai To Bas Ali Ki Tarah
Maot Aye To Ya Hussain Hussain
Ya Ali Ya Hussain
Ya Ali Ya Hussain
Awaz E Muhammad Ka Asar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ya Ali Ya Hussain
Laraib Ky Rasool Ki Dono Hain Zaib O Zain
Pehloo Mein Ya Ali Hain To Goudi Mein Ya Hussain
Loh O Qalam Ka Ilm Ka Salek Hai Ya Ali
Jab Tak Khuda Ka Mulk Hai Malik Hai Ya Hussain
Yeh Ilm Ka Dar Sabr Ka Ghar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Yeh Saltanat E Ishq Hai Khud Daar Milen Gy
Salman O Abuzar Sy Wafadar Milen Gy
Ashiq Yahan Mesum Sy Jigar Daar Milen Gy
Jeney K Liye Marny Py Tayar Milen Gy
Kat Jaye Ga Zaban Ishq Magar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Muslim Bine Aqeel Safeer E Hussain Hai
Hub E Ali Hai Dil Mein Musheer E Hussain Hai
Woh Badshah Aur Yeh Wazeer E Hussain Hai
Aisa Wazeer Hai Ky Faqeer E Hussain Hai
Ta Hashr Sifarat Ka Safar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ya Ali Ya Hussain
Hurr Ko Sakhi Hussain Ny Aali Bana Diya
Aisa Keh Panjatan Ka Sawali Bana Diya
Nad E Ali Ny Is Ko Jalali Bana Diya
Roomal E Fatima Ny Misali Bana Diya
Yeh Dar Hai Ataon Ka Yeh Dar Khatm Na Ho Ga
Thak Jaye Ga Sooraj Yeh Safar Khatm Na Ho Ga
Ay Mere Rab E Jahan Ay Muhammad Ky Khuda
Yeh Tera Ishq Hi Tha Jis Ki Parwaz Juda
Panjatan Sy Jo Mila
Ishq Ka Tery Safar
Ishq E Haider Mein Mila
Kabhi Mesum Kabhi Miqdad O Abuzar Mein Mila
Kabhi Salman Ky Dil Mein Kabhi Qambar Mein Mila
Aur Maqtal Mein Jo Dekha To Bahattar Mein Mila
Layeq E Ishq Hai Tu Tera Jalwa Har Soo
Ay Mere Rab E Jahan Ay Muhammad Ky Khuda
Ishq Tu Ny Bhi Kiya Woh Muhammad Tera
Jis Ki Chahat K Liye Yeh Jahan Khalq Kiya
Woh Tera Ishq Hi Tha
Ay Mere Rab E Jahan
Ay Mere Rab E Jahan
Ek Ajab Ishq Hua
Woh Sar E Karbobala
Tera Ashiq Hai Kharha
Khoon Mein Dooba Hua
Dy Chuka Lakht E Jigar
Dy Chuka Noor E Nazar
Dy Chuka Sara Woh Ghar
Aur Khanjar Ky Taly
Us Ka Sajdy Mein Hai Sar
Na Namaz Aisi Na Ashiq Ka Kalaija Aisa
Nok E Naiza Py Bhi Karta Hi Raha Zikr Tera
Ya Ali Ya Hussain
Ek Zulfifqar Khalq Mein Do Hath Sy Chali
Dast E Hussain O Panja E Mushkil Kusha Ali
Yeh Mustafa Ki Jan Woh Allah Ka Wali
Dono Ka Martaba Bhi Do Alam Py Hai Jali
Dono Ka Is Kamal Sy Sajda Ada Hua
Haider Sy Ibtida Hui Ya Khatima Hua
Ya Ali Ya Hussain
Hai Waqt E Asr Marzi E Parwardigar Hai
Angusht E Zuljanah Py Maula Sawar Hai
Pehloo Mein Khoon Roti Hui Zulfiqar Hai
Hamraah Zuljanah Bhi Bahut Dilfigaar Hai
Qurban Zuljanah Py Aur Zulfiqar Par
Chalty Thy Dono Marzi E Parwardigar Par
Ya Ali Ya Hussain
Jaisi Woh Zulfiqar Thi Wesa Tha Zuljanah
Bachapan Sy Sath Sath Hi Rehta Tha Zuljanah
Bey Misl O Bey Nazeer Tha Aala Tha Zuljanah
Kiun Kar Na Ho Rasool Ny Pala Tha Zuljanah
Pehla Sawar To Nabi E Kirdigaar Hai
Aur Doosra Yeh Dosh E Nabi Ka Sawaar Hai
Ya Ali Ya Hussain
Cheety Ki Jast Shair Ki Chit Mat Hiran Ki Aankh
Chalta Tha Dekh Dekh Ky Shah E Zaman Ki Aankh
Parhti Thi Yun Hareef Py Us Sar Shikan Ki Aankh
Larhti Ho Jaisy Jang Mein Shamsheer Zan Ki Aankh
Taigh Ai Jis Py Us Ka Bhi War Us Py Chal Gaya
Woh Sar Gira Gai To Yeh Lasha Kuchal Gaya
Ya Ali Ya Hussain
Kehta Tha Zulfiqar Sy Ab Meri Jang Dekh
Chal Mere Sath Sath Zara Mera Rang Dekh
Is Pyas Mein Larhai Ka Mera Bhi Dhang Dekh
Rah E Hayaat Kitnon Py Karta Hun Tang Dekh
Mana Tu Zulfiqar Hai Marhab Shikar Hai
Lekn Yeh Dekh Kon Yeh Mujh Par Sawar Hai
Ya Ali Ya Hussain
Simta Jama Urha Idhar Aya Udhar Gaya
Chamka Phira Charha Dikhaya Thahar Gaya
Teeron Sy Urh Ky Barchion Mein Pur Khatar Gaya
Marham Kiya Safon Ko Saron Sy Guzar Gaya
Aaya Jo Zad Mein Is Ki Ajal Aa Gai Us Ki
Ek Ankh Parhi Jis Py Zameen Kha Gai Usy
Ya Ali Ya Hussain
Allah Rey Larhai Mein Shokat Hussain Ki
Thi Taigh O Zuljanah Mein Suraat Hussain Ki
Qudrat Baghaor Dekhti Thi Soorat Hussain Ki
Qehr E Khuda Sy Kam Na Thi Haibat Hussain Ki
Boly Ali Hussain Ho Ab Bhi Hawas Mein
Aisi To Jang Hum Na Larhy Bhook O Pyas Mein
Hussain Ya Hussain
Aai Sada E Ghaib Ky Bas Bas Hussain Bas
Dam Ly Hawa Mein Jald Nafas Keh Hussain Bas
Garmi Sy Hanpta Hai Faras Ay Hussain Bas
Waqt E Namaz E Asr Hai Bas Bas Hussain Bas
Hussain Ya Hussain
Yeh Sunty Thy Hazrat Jo Laga Pusht Py Bhara
Karroos Py Tharra Ky Giry Hazrat E Wala
Jibreel Ny Qadmon Sy Rakabon Ko Nikala
Aur Hathon Ko Gardan Mein Yadullah Ny Dala
Dekha Jo Zuljanah Ny Ghash Khaty Zeen Par
Bas Beth Gaya Taik Ky Ghutnon Ko Zameen Par
Quran Rahl E Zeen Sy Sar E Farsh Gir Parha
Deewar E Kaba Waid Gai Arsh Gir Parha
Ya Hussain Ya Hussain
Chillai Fatima Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Arz E Nainawa Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Nehr E Alqama Mera Bacha Hai Bey Gunah
Ay Zulfiqar Tu Hi Bacha Ly Hussain Ko
Ay Zuljanah Tujh Sy Main Lun Gi Hussain Ko
Ya Hussain Ya Hussain
Dooba Lahoo Mein Laot Ky Aaya Hai Zuljanah
Samjhi Sakina Baba Ko Laya Hai Zuljanah
Sar Khak Py Patakh Ky Pukara Woh Rahwaar
Saidanion Bicharh Gaya Mujh Sy Mera Sawar
Jaldi Utar Lo Yeh Tabarruk Yeh Zulfiqar
Ary Kat’ta Hai Wahan Gullo E Shehanshah E Namdaar
Zehra Qareeb E Lash E Pisar Khak Uthati Hai
Ary Khaimon Mein Jao Lootny Ko Faoj Ati Hai
Ya Hussain Ya Hussain