Kulsoom Ne Mehmil Lyrics – Nadeem Sarwar 2002

Kulsoom Ne Mehmil Lyrics

Yasrab Nazar Aaya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Yasrab Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Yasrab Nazar Aya
Apna Tha Watan Aur
Parya Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya
Moonh Dhanp Kay Roney Lagi Ahmad s.a.w.w Ki Nawasi
Weeran Dar-o-Baam They Aallh Ye Udasi
Ujra Bani Hashim Ka Mehalla Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya

Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya
Wo Galiyan Jahan Aun O Mohammad Kabhi Kheley (a.s)
Abdullah a.s Wahan Phirtey They Khamosh Akeley
Har Simt Mein Bchoon Ka Sarapa Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Sughra s.a Ne Khabar Pai Kay Loat Aaye Musafir
Khush Ho Gai Rozey Pay Nabbi s.a.w.w Kay Hui Hazir
Kya Soncha Tha Sughra s.a Ne Usey Kiya Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Ujri Hui Har Mang Thi Har Goudh Thi Khali
Asghar a.s Ka Shaloka Tha Sakeena s.a Ki Thi Bali
Abbas a.s Ka Parcham Bhi Akela Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Jis Waqt Ruki Nana s.a.w.w Kay Rozey Pay Ammari
Naqey Say Giri Khak Pay Wo Dard Ki Mari
Rota Howa Nana s.a.w.w Ka Jo Chehra Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Sughra s.a Ne Kaha Amma s.a Say Kyun Goud Hai Khali
Eik Aah Bhari Bano s.a Ne Kuch Moonh Say Na Boli
Roney Lagi Jalta Howa Jhoola Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Bin Bhai a.s Kay Dakhil Huwi Jo Apney Hi Ghar Mein
Ghash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalab-o-Jigar Mein
Bey Goro Kafan Bhai Ka Lasha Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Hujrey Mein Nazar Aaye Nahi Qasim-o-Akbar (a.s)
Kehney Lagi Main Chor Gai Thi Yeah Bhara Ghar
Ghar Qabar Kay Mahol Mein Dhalta Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Bistar To Wahan Aun-o-Mohammad Kay Sajey Thay (a.s)
Aur Taaq Mein Asghar a.s Kay Khiloney Bhi Rakhey Thay
Laykin Na Koi Khelney Wala Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur, Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Aai Sarwar-o-Rehan Gham e Shah-e-Huda Say
Seydaniyan Uthi Na Kabhi Fersh-e-Aza Say
Ankhoon Mein Lahoo Hotoon Pay Nauha Nazar Aya
Kulsoom s.a Ne Mehmil Kay Jo Pardey Ko Uthaya
Apna Tha Watan Aur Paraya Nazar Aya
Yasrab Nazar Aya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply