Jahan Hussain Wahan Lyrics | Nadeem Sarwar 2010

Jahan Hussain Wahan Lyrics

Hussain Hussain Hussain

Charagh Jalta Raha
Jo Qafila Tha Rawan
Woh Qafila Hai Rawan
Safar Ba Nok E Sinan
Sinan Ky Sath Azan
Bureeda Sar Ki Sadayen Fiza Mein Phail Gaiin
Dareechon, Aanganon, Galiyon Mein Dabty Sehra Sy
Zameeno Arsh, Khilaun Sy Aur Fizaon Sy
Dinon Mein, Rat Mein, Jangal Mein, Kohsaron Sy
Sadayen Any Lagiin Ash Hadu An La Ilaha Illa Allah

Yeh Aik Bar Hua Aur Lazawal Hua
Sinan Ki Nok Py Subhana Rabbi Al Aala
Pukara Kalma E Toheed Bhi Jazak Allah
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Hussain Deen Bhi Hai Aur Deeniyat Bhi Hai
Hussain Kalma E Toheed Ki Hayat Bhi Hai
Hussain Ramz E Khuda Bhi, Khuda Sifaat Bhi Hai
Hussain Baara Imamon Ki Kayenaat Bhi Hai
Hussain Sy Hai Ayaan La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Woh Goud Fatima Zehra Ki Ho Ky Raig E Tapaan
Woh Sehn E Kaaba Ho Pusht E Rasool Ya Ky Sinaan
Fazaye Jang Ho Ya Ho Payam E Aman O Amaan
Na Dekhy Teer Na Talwar Gar Ho Hukm E Azan
Hussain Ka Hai Bayan La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Hussain Walon Ki Pehchan Hai Azadari
Hussain Walon Ki To Jan Hai Azadari
Hussain Walon Ka Emaan Hai Azadari
Hussain Walon Ka Ailaan Hai Azadari
Hussainiyat Ki Zuban La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Basi Hai Karbobala To Koi Jawaz Bhi Hai
Luta Hai Gulshan E Zahra To Koi Raaz Bhi Hai
Yeh Raaz Woh Hai Ky Khaliq Ko Is Py Naaz Bhi Hai
Baraye Naaz Bahattar Ki Woh Namaz Bhi Hai
Isi Ki Sirr E Nihaan La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Namaz Nafs Ki Izzat Hai Aoliya Ki Qasam
Namaz Deen Ki Hurmat Hai Aosiya Ki Qasam
Namaz Husn E Sharafat Hai Anbiya Ki Qasam
Namaz Qissa E Wehdat Hai Kibriya Ki Qasam

Namaz Khair E Amal Ki Taraf Bulati Hai
Namaz Ishq E Khuda Ka Hunar Sikhati Hai
Namaz Abd Ko Mabood Sy Milati Hai
Namaz Guftagoo Allah Sy Karati Hai
Yehi Namaz Gunahon Sy Bhi Bachati Hai
Namaz Qabr Talak Sath Sath Jati Hai

La Ilaha Illa Allah

Namaz Woh Hai Jo Faqon Mein Mustafa Ny Parhi
Jaga Ky Apny Hi Qatil Ko Murtaza Ny Parhi
Jo Chakion Ki Mushakat Mein Fatima Ny Parhi
Galy Laga Ky Zahar Ko Jo Mujtaba Ny Parhi

Jo Chahta Ky Azmat Namaz Ki Dekhy
Mery Hussain Ka Woh Akhri Dekhy

Parhi Namaz Jo Abid Ny Pusht E Naqa Par
Ada Kiya Jisy Baqir Ny Sakhtian Seh Kar
Bayan Kiya Jisy Jafar Ny Barsar E Mimbar
Rukoo Mein Barson Rahy Jis Ky Kazim E Muztar

Raza Ny Lab Py Sareeh Ar Riza Saja Ky Parhi
Taqi Ny Taqwa E Bu Talibi Bata Ky Parhi
Naqi Ny Nakhwat E Batil Mita Mita Ky Parhi
Aur Askhari Ny Khabar Akhri Suna Ky Parhi
Pas E Namaz Musallay Py Ro Raha Koi
Imam E Asr Hai Aur Hujjat E Khuda Hai Wohi

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Woh Khaima Gah Wo Syedanian Woh Zikr E Khuda
Jahan Musallay Py Zainab Rubab Aur Fizza
Hasan Ki Baiwah Ruqaiyah, Sakina Ka Sajda
Tamam Bibian Karti Thiin Sirf Aik Dua

Mery Khuda Hamen Manzoor Qeht E Aab Rahy
Hussain Apny Iradon Mein Kamyab Rahy
Sadaye Tishna Laban La Ilaha Illa Allah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illa Allah
Khateeb E Nok E Sinaan La Ilaha Illa Allah

Magar Namaz Sy Poocho Ky Karbala Kya Hai
Hussain Aur Tera Rishta E Wafa Kya Hai
Kaha Namaz Ny Sun Lo Meri Baqa Kya Hai
Bas Aik Sajda E Shabbir Ky Siwa Kya Hai

Hussain Hi Ka Gharana Bacha Gaya Mujh Ko
Woh Khud Ujarh Gya Lekin Saja Gya Mujh Ko

Mayan E Karbobala Aah Mainy Kya Dekha
Ghira Laeenon Mein Kunba Rasool Ka Dekha
Batool Zadon Ko Bay Aab O Bay Ghiza Dekha
Bahata Pani Udhar Lashkar E Jafa Dekha

Namaz Parhty Rahy Dill Mein Iztarab Na Tha
Guzar Gaye Thy Kai Din Ky Ghar Mein Aab Na Tha

Bataun Kaisy Ky Dasween Ko Mainy Kya Dekha
Sahar Hui To Shahadat Ka Silsila Dekha
Kisi Ka Seena To Zakhmi Koi Gala Dekha
Lab E Furat Alam Khoon Mein Bhara Dekha

Hussain Lashon Py Lashy Yun Hi Uthaty Rahy
Aur Apni Rah E Shahadat Ki Simt Jaty Rahy
Kamar Rukooh Ki Tarah Thi Magar Hussain Uthy
Ky Ahl E Zulm Py Lazim Tha Ab Ky Taigh Chaly
Ghazab Ki Taigh Chali Koi Rokta Kaisy
Imam E Waqt Thy Allah Ki Riza Py Ruky

Azan E Asr Suni, Dekha Aalam E Bala
Kaha Hussain Ny Subhana Rabbi Al Aala

Aai Sada E Ghaib Ibadat Ka Waqt Hai
Ay Fatima Ky Laal Tilawat Ka Waqt Hai
Jannat Mein Saf Bandhi Hai Imamat Ka Waqt Hai
Bas Bas Hussain Bas Yeh Ibadat Ka Waqt Hai

Rakh Li Mayan Mein Shah E Bala Ny Zulfiqar
Woh Ghol Bandhy Aye Kamaan Dar Das Hazaar

Woh Bay Shumar Taighon Ky Phal Aur Ek Hussain
Woh Sainkarhon Payam E Ajal Aur Ek Hussain

Dooby Huye Thy Khoon Mein Gaisoo Hussain Ky
Teeron Ny Chaan Daly Thy Pehloo Hussain Ky

Naizay Ka Bin E Wehb Ny Pehloo Py Kiya Waar
Kandhy Thy Chali Sath Zarara Ki Bhi Talwar
Nawak Bine Kahil Ka Kalaijy Ky Hua Paar
Bazo Mein Dar Aya Tabar E Khooli E Khon Khuwar

Taighen Opi Huiin Jo Barabar Sy Chal Gaiin
Ghash Kha Gaya Qadam Sy Rakaben Nikal Gaiin

Kiun Kar Kahun Ky Arsh E Khuda Khak Py Gira
Khair Un Nisa Ka Mah E Laqa Khak Par Gira
Raiti Py Mustafa Ky Jigar Ka Lahu Gira
Syed Gira Imam Gira Naik Khoon Gira

Woh Zulm Ho Raha Tha Ky Duniya Ulat’ti Thi
Jab Zair E Taigh Gardan E Shabbir Kat’ti Thi
Woh Tund Taigh Zainab O Zahra Py Chalti Thi
Matam Kunaan Namaz Thi Aur Khoon Roti Thi

Jari Thi Yeh Sada Ky Nabi Ka Nawasa Hon
Amman Pilao Pani Main Pyasa Hun

Ajab Ada Sy Namazi Namaz Parh Ky Gya
Bahan Ky Samny Nok E Sinaan Py Charh Ky Gya

Nazar Mein Bhai Ky Sajdy Ki Aab O Taab Jo Thi
Behan Ny Sar Khuly Maqtal Mein Maghribain Parhi
Nazar Ky Samny Har Meh Laqa Ki Laash Rahi
Magar Jaly Huye Khaimon Ki Ja Namaz Bichi

Gham E Hussain Ki Barchi Utha Gai Zainab
Magar Namaz Ki Duniya Basa Gai Zainab

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply