Jab Maula Aienge Lyrics
Jab maula Aainge
Al ajal labayk maula x3
Sari dunya me ujalaa Noor ka ho jayege
Khana e Ka’aba ki Chhath par ek Alam lehrayega
Jab maula Aayenge
Jab maula Aayenge
Dekhena Ek Roz manzar Is tarha ka aayega
Manzaro’n par ek manzar mustakil hojayega
Han yahi manzar Qayyamat ki khabar banjayega
Sari dunya me ujalaa Noor ka hojayega
Khana e Ka’aba ki Chhath par ek Alam lehrayega
Jab maula ayenge
Ay azadaro suno ge jald maula ki sadaa
Qaim (a.s) e Ale Muhammad (s.a.w.w) Askari (a.s) ka Maah Laqa
Aaraha he Aaraha he Marhaba sad Marhaba
Majlis e Shabbir a.s me ab shor e girya dekhena
Pursedaro Farsh e Gham par apna maula a.s dekhna
Jab maula Aayenge
Surkh aandhiyaa’n uthengi phir samajh me aayega
Jiski dunya muntazir thi phir wo manzaar aayega
Mosam e insaaf laykar mera maula aayega
Kufr hujro’n me chhupega.darbadar ho jayegaa
Mukhtasir lashkar Imam e Asr a.s ka chhaa jayega
Jab maula Aayenge
Aayega jab Haidari Talwar ka Wo virsedar
Dekhna Chalti he kaise Taigh e Sher e Kirdigaar
Phir Zamin o Aasmaa tak ek hi hogi Pukaar
Shah e Marda’n Sher e Yazdaa’n Quwwat e Parwardigaar
La fataa illaa Ali (a.s) la saif illa Zulfiqar
Jab maula Aayenge
Dekhena is tarha maula majlisain karwayenge
Majliso’n me Karbala waley bulaye jayenge
Nara e Haidar (a.s) Lagega Panjatan (s.a.w.w) jab ayaange
Dekhene un majliso’n me har Shaheed aa jayega
Phir to wo Matam karenge Asmaan hil jayega
Jab maula Aayenge
Chand Narjis ka Falaak se Jab Zameen par aayega
Aayenge Sarey Farishtey Auliya or Ambiyaa
Aab e Kousar ki sabeelain bhi lagengi ja ba ja
Unkey Aatey hi Sitarey khud zameen par aayenge
Dekhena shehr e khamosha’n me diyye jaljayenge
Jab maula Aayenge
Akbar (a.s) O Abbas (a.s) Qasim (a.s) ke liye girya’n kuna’n
Royange Matam karenge jab Imam e Ins O Ja’an
Fatima Zahra (s.a) ki Aayegi ye Aawaaz e Fugha’n
Aye Ghareeb O Be Watan Aye Karbala Waley Hussain (a.s)
Tera Nana (s.a.w.w) Kar Raha He Teri Mazloomi pe Bain
Jab maula Aayenge
Farsh e Matam Syed e Sajjad a.s Khud Bichhwayenge
Marsiya Parhtay Huey Baba a.s Ka Akbar a.s Aayenge
Hazrat e Abbas a.s Bhi Apney Alam Ko Laayenge
Nouha Ek Rehan se maula merey Likhwayenge
Phir ye Nouha Sath me Sarwar ke Sab Parhwayen ge