Dua E Kumail Lyrics
(Ya sari ar-reza) x6
Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Tu hi kabir tu hi kibriya tu rehnuma,
Rage gulu se bhi nazdeek tu har ek lamha,
Hai tere naam ki taasir har maraz ki dawa,
Hai tere zikr me poshida mere hak me shafa,
(baghair maange hi karta hai tu ataa pe ataa) x2
Sadaa se pehle hi sunta hai sahilo ki sada
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Ali wasila bane aur komail paye shafa,
Usi ke naam se mansoob hogayi ye dua,
Shabe jumaa hai dua-e-komail shukr tera,
Ye ibteda hai to hai imtehan hadise kisaa,
(elahi teri riza ke siwaa kuch aur nahi) x2
ke mere paas dua ke siwa kuch aur nahi
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Mere khuda wo zabaane jo teri hamd kare,
Wo tere panjatan-e-paak ki dua me rahe,
Kabhi wo nare jahanum ki sakhtiya na sahe,
Pule siraat se bekhof bekhatar guzre,
(gunahagaro ko ye aasra hai subho masa) x2
khula huwa hai musalsal tera dare tawba
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Rasule paak ke sadke me ay khuda ghar ghar,
Sho aaye ilm ki kirno ka mustakil ho guzar,
Khula rahe mere bacho pe shahre ilm ka dar,
Rahe jawaano ki har dam teri riza pe nazar,
(teri riza ki bina riske ilm kya ho ataa) x2
jo tune chahe dare ilm khil nahi sakta
(ya sari ar reza) x2
Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Tu mere aib chupata hai daal kar parda,
Elahi deta hu mai tujko waasta uska,
Wohi jo shaame ghariban me de rahi thi sadaa,
Nahi hai kuch bhi mere paas is rida ke siwaa
(rasool zadi ke parde ki laaj rakhlena) x2
haram duaawo ka meri bhi aaj rakhlena
(ya sari ar reza) x2
Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Shakhista pahlue zehra ka wasta ay khudaa,
Jo waqte gusle ali ne basad buqa dekha,
To apne aasu ali saat jari na rok sakaa,
Khuda ka shehr bhi ek cheekh maar kar roya,
(usi rasool ki beti ka waasta ay khudaa) x2
ho waalidain ko sehat ke saath umr ataa
(ya sari ar reza) x2 Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan
Wo ek mariz jo bas shaam keh ke rota tha,
Jukaaye sar wo hayadar rota jaata tha,
Pahen ke beriyaan jo karbala se shaam gaya,
Usi mariz ke sadke se mangta hai shafa,
(maraz se pehle dawa khalk tune ki hai khuda) x2
baraye sayyade sajaad de hame bhi shifa
(ya sari ar reza) x2
Ighfir leman la yamleko ilad dua,
Fa innaka fa’alool lema tasha,
Ya manismahu dawa wa zikrahu shifaa,
Wa tahtahu ghenan