Bibiyaan Rehgaai Lyrics | Nadeem Sarwar 2009

Bibiyaan Rehgaai Lyrics

So Gaya Lashkar

Ay Sham E Ghareeban

So Gaya Lashkar

Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai
Dil Sy Lagaye Dagh Bahattar Noha Gar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Sham E Ghareeban Sy Kuch Pehly Jhoola Chadar Bistar Tha
Pehloo Mein Ham Shakal E Payambar Goud Mein Maan Ki Asghar Tha
Goudian Khali Maan Ky Ujrhi Bey Pisar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Han Yeh Abu Talib Ka Kunba
Betian Sari Haider Ki
Azmat E Zehra Azmat E Mariyum
Izzat Thiin Payghambar Ki
Chadaren Mangti Nam E Payambar Darbadar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Dhalta Sooraj Soch Raha Hai Waqt E Sahar Kya Manzar Tha
Mehw E Ibadat Zair E Alam Shabbir Ka Sara Lashkar Tha
So Gaya Lashkar Jagny Wali Rat Bhar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Dariya Maojen Maar Raha Hai Pyas Abhi Tak Baqi Hai
Shayad Ghazi Laot Ky Aaye Aas Abhi Tak Baqi Hai
Dekh Zara Zainab Ky Baradar Jaag Kar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Koi Nahi Jo Pooch Ly Aa Kar Kya Hui Zainab Teri Chadar
Tery To Thy Atthara Baradar Kiun Hai Akeli Pehrey Par
Humsafar Maqtool Huye Sab Humsafar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Socho Zara Rehan O Sarwar Sham E Ghareeban Ka Woh Manzar
Chak Garaiban Aaye Jo Haider Dekh Ky Zainab Ko Pehrey Par
Ro Diye Haider Khaimy Maqtal Dekh Kar
Bibiyaan Rehgaai

Jalty Huye Khaimon Ki Bujhti Rakh Par
Bibiyaan Rehgaai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply