Bara Roi Sakina Yahan Lyrics | Nadeem Sarwar 2008

Bara Roi Sakina Yahan Lyrics

Han Yeh Hai Shehar E Shaam

Han Yeh Hai Shehar E Shaam
Choti Shehzadi Ka Hai Yahin Par Qayam
Aj Rozy Py Hai Roshni Subh O Sham
Pursa Daron Ka Hai Matami Azdaham

Phat Raha Hai Jigar Sochta Hun Agar
Kaisa Tareek Tha Kaisa Weeran Tha
Kaisa Weeran Tha Kal Yeh Zindaan Tha
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Itni Wehshat Ky Ek Pal Na Guzry Jahan
Cheekhti Hon Jahan Sirf Tanhaiyan
Rona Kya Siskion Par Bhi Pabandian
Rasion Bairiyon Taoq Ky Darmyan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Sar Khuly Khak Par Ghamzada Bibian
Us Mein Qasim Ki, Akbar Ki, Asghar Ki Maan
Maang Ujrhi Hui Khali Thiin Godian
Sab Ki Himat Bandhaati Thi Zainab Jahan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Han Isi Shaam Ky Beech Bazar Mein
Bibian Patharon Ki Thiin Bochar Mein
Khoon Mein Doobi Muhammad Ki Thiib Betian
Har Taraf Shaam Mein Jashn Ka Tha Samaan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Dekh Kar Binte Zehra Ka Yun Sar Khula
Nok E Naiza Sy Ghazi Ka Sar Gir Gaya
Haye Ghazi Ki Ghairat Ka Yeh Imtehaan
Sar Patakhny Lagiin Sari Shehzadian
Barha Royi Sakina Yahaan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Ek Qayamat Si Darbar Mein Aa Gai
Jab Sakina Kaneezi Mein Mangi Gai
Na Padar Na Chacha Bhai Bhi Natawan
Torhi Sajjad Ny Ghaiz Mein Bairhiyan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Dukhtar E Hind Boli Sakina Bta
Kaisy Daman Jala Kiun Hai Kurta Phata
Orhni Tery Sar Ki Gai Hai Kahan
Khainchi Kis Shaqi Ny Teri Baliyan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Boli Kya Hal Apna Bataun Tujhy
Chorh Ky Jab Sy Baba Gaye Hain Mujhy
Main Yateem Ho Gai Aur Kya Ho Bayaan
Meri Gardan Mein Bandhi Gaiin Rassian
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Aur Ek Roz Zindaan Rony Laga
Jab Sakina Ko Baba Ka Sar Mil Gaya
Boli Ab Aaye Ho Tum Mery Baba Jaan
Itny Din Door Mujh Sy Rahy Ho Kahaan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Roi Rehan O Sarwar Ki Ankhen Lahoo
Roza E Shahzadi Py Ki Guftagoo
Haye Is Waqt Hum Tum Kharhy Hain Jahan
Noor Hi Noor Hai Kal Thiin Tareekiyan
Bara Roi Sakina Yahan

Han Yeh Hai Shehar E Sham

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply