Bhai Bhai Pukarti Rahi Mei Lyrics – Mir Hassan Mir – 2016-17

Bhai Bhai Pukarti Rahi Mei Lyrics – Mir Hassan Mir – 2016-17 – TP Muharram 2016-17 – Mir Hassan Mir Lyrics

Noha Khwan: Mir Hassan Mir
Amma meri amma..(3)
amma, amma
amma ruka na shimr e laee’n mere bayn se
sattar(70) qadam thi door ye zainab hussain se

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

shimr ne ki phir aisi ghustakhi..(2)
mujhse dekha nahi gaya amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma1. Tum jo zulfe sawara karti thi
unhi zulfo mein haath tha uska
jaha’n bose diye the nana ne
usi gardan se khoo’n tapakta tha
sare shabbir yu uthaye hue
shimr khaime tak aagaya amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

2. Dekh kar mujhko bayn karte hue
shimr har baar muskarata raha
meri nazro ke saamne zalim
waar ginkar churi chalata raha
haye 13 zarbe thi kund khanjar tha
aur shabbir ka gala amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma3. Charo janib se gher rakha tha
tere noore nazar ko lashkar ne
teer barsata tha koi uspar
koi patthar se maarta tha use
haye ret zakhmo pe wo girata raha
jisko patthar nahi mila amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

4. Tegh jis dum koi chali uspar
haye abbas kehke roya tha
teer peshani pe laga jis dum
haye asghar zabaa’n pe aaya tha
haye akbar pukara duniya ne
jab bhi neza koi laga amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

5. Haye jab chalaya tha shimr ne khanjar
maine aanko’n se apni dekha tha
haath apne uthake pehlu se
tune sukhe gale pe rakha tha
ungliya’n zakhmi hogayi hongi
haath mujhse to naa chupa amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

6. Aisi nafrat thi unke seeno mein
ye bhi socha na shaam walo ne
deen e islam mein zabiha tak
zibha pyaase nahi kiye jaate
haye teen din se hussain pyaasa hai
ye bhi socha nahi gaya amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

7. Maa ye zainab se kehti thi ‘akbar’
meri aaghosh mein tha sar uska
maine gardan ko katte dekha tha
maine saanso ko rukte dekha tha
haye aakhri baar zere khanjar bhi
maine shabbir se suna amma

bhai bhai pukarti rahi mai
phir bhi khanjar nahi ruka amma

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply