Tu Dekh Nahi Pata Jabir Lyrics | Mesum Abbas 2016

Tu Dekh Nahi Pata Jabir Lyrics

Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir
Tu dekh nahi paata jabir

Thi binte ali bazaro’n mein
Thi binte ali bazaro’n mein
Be maqna o be parda jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Jabir ye zameene karbobala
Zahra ka yaha’n gulshan bikhra
Jis jaa pe khade ho tum jabir
Ghode se yahee’n abbas gira
Pyaasi thi bateeji khaime mein
Pyaasi thi bateeji khaime mein
Be baazu hua saqqa jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Atthara baras ka bhai mera
Seene mein lagi naize ki ani
Jabir ye sunoge kis tarha
Shabbir ki bhi beenayi gayi
Bus ek qadam hi chalte the
Bus ek qadam hi chalte the
Girte the mere maula jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Akbar, asghar, qasim na rahe
The aun o mohammad ke laashe
Is par bhi ruki na zoro jafa
Sabke laashe pamaal hue
Shabbir pe chalta tha khanjar
Shabbir pe chalta tha khanjar
Zainab thi sare khaima jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Phir shaam e ghareeba aa pohchi
Khaimo ko jalaya aada ne
Phupiyo’n ki ridao’n ko meri
Naizo’n se utaara aada ne
Jalta tha sakina ka kurta.
Jalta tha sakina ka kurta.
Asghar ka kahi’n jhula jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Aaghaz e imamat tha mera
Tohfe mein mile zanjeer o rasan
Poshak yateemi ki pehne
Zakhmo se bhara tha mera badan
Gardan ka lahu pairo se baha.
Gardan ka lahu pairo se baha.
Ye waqt bhi tha aaya jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Bazaar ka haal suno jabir
Pathhar the kabhi shole the kabhi
Ummat thi tamashayi saari
Aur aale mohammad the qaidi
Aur habshi ghulamo ki tarha
Aur habshi ghulamo ki tarha
Bazaaro’n mein khencha jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Bazaar hua jab khatm to phir
Darbaar qayamat aaya tha
Darbaar sharabi majme mein
Zainab ko pukara jaata tha
Paigham e hussaini ki khatir
Paigham e hussaini ki khatir
Jaise wo rahi zinda jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Hasrat thi rihai ki jisko
Zinda’n se reha wo ho na saki
Darti thi andhere se bacchi
Turbat bhi andhere mein hi bani
Zinda’n mein sakina ka haaye
Zinda’n mein sakina ka haaye
Haatho’n pe tha jab laasha jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Salman karega kaise bayaa’n
Mesum jo mere maula ne kaha
Beenai meri rukhsat na hui
Ankho’n se magar khoo’n itna baha
Aankho’n ke lahu se surkh hua
Aankho’n ke lahu se surkh hua
Tha shaam ka sab rasta jabir
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir
Acha hai teri beenai nahi,
Tu dekh nahi paata jabir..

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply