Kitni Mazloom Hai Zahra Lyrics | Mesum Abbas 2022

Kitni Mazloom Hai Zahra Lyrics

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Pehlu Shakista Tooti Paslian
Haye Ummat Ny Kiun Darbar Bulaya

Kitni Mazloom Hai Zahra

Baad E Rasool E Pak Jo Zulm O Sitam Huye
Taa Marg Un Ki Ankh Sy Aansoo Nahi Ruky
Aankhon Ky Gird Parh Gaye Halqay Batool Kay
Yeh Zulm Ghar Nay Nahi Apnon Ny Dhaye Thay
Sadiyan Guzaar Di Gaiin Jari Hai Woh Jafa
Ahl E Aza To Aj Bhi Karty Hain Yeh Buka

Kitni Mazloom Hai Zahra

Roodad E Gham Sunaun Zara Kalma Go Suno
Tareekh Dy Rahi Hai Gawahi Yeh Ap Ko
Aaye Thy Aag Ly Ky Dar E Sayeda Py Woh
Esaai Bhi Nahi Thay Yahoodi Nahi Thay Woh
Bibi Py Jab Giraya Dehakta Hua Woh Dar
Islam Keh Raha Tha Yehi Cheekh Cheekh Kar

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ya Mazlooma Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Khamosh Bu Turab Thay Mansha E Kibriya
Darbar Mein Laeen Ky Pahunchiin Jo Sayeda
Hasnain Ky Siwa Koi Hamdard Hi Na Tha
Sab Jan Nisar Ho Gaye Qatil Ky Hum Nawa
Jo Chorh Kar Gaye Thy Janaza Rasool Ka
Karty Bhala Rasool Ki Beti Sy Kya Wafa

Kitni Mazloom Hai Zahra

Attharwen Baras Mein Uthaye Hain Yeh Mahan
Din Raat Sayeda Ky Kalaijay Mein Thi Dukhan
Dekhi Guloo E Haidr E Karrar Mein Rasan
Roye Hussain Zainab O Kulsoom Aur Hasan
Jab Thy Ali Hisaar Mein Us Din Ko Roi Hai
Tanhaiyon Mein Beth Ky Mohsin Ko Roi Hai

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Karwat Sy Daaiin Janib Kabhi So Nahi Saki
Khoon Ruk Nahi Raha Tha Jo Zakhmi Hui Jabeen
Tootiin Jo Paslian Sukoon Tha Kahin Nahi
Ab Jee Nahi Sakun Gi Yeh Zahra Ko Tha Yaqeen
Is Darja Zakhm Khaye Hain Kunfuz Ki Zaat Say
Tasbeeh Hi Parh Na Paeen Kabhi Seedhay Hath Say

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ghusl O Kafan Ka Waqt Jo Aya Tha Ba Khuda
Mola Ky Ghar Qayamat E Sughra Hui Bapa
Giriya Ali Ka Sun Ky Yeh Zainab Ny Ki Buka
Jaan Sy Guzar Na Jayen Kahin Shair E Kibriya
Yara Raha Na Zabt Ka Ronay Lagay Ali
Pehloo Ka Zakhm Daikh Ky Kehny Lagay Ali

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Kuch To Batao Logo Rulaya Gaya Hai Kiun
Makhdooma E Jahan Ko Sataya Gaya Hai Kiun
Yeh Zulm Baad E Marg Bhi Dhaya Gya Hai Kiun
Mayat Ko Fatima Ki Chupaya Gya Hai Kiun
Chalees Qabr E Zahra Banai Thiin Is Liye
Zahra Ki Qabr Koi Musalman Na Dekh Lay

Kitni Mazloom Hai Zahra

Mismar Qabr E Fatima Zahra Ko Kar Diya
Jari Hai Phir Bhi Zulm Ka Ummat Mein Silsila
Ly Lo Jo Naam E Qatil E Zahra To Hai Saza
Sadiyon Ky Baad Bhi Hai Wohi Zulm Aur Jafa
Socha Kabhi Nahi Tha Keh Yeh Din Bhi Aye Ga
Parhna Hai Jurm Marqad E Zahra Py Fateha

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Mesum Ky Ashk Tera Qalam Mazhar Abidi
Kar Hi Nahi Saken Gy Bayan Woh Sitam Kabhi
Jo Zulm Seh Gai Hai Woh Beti Rasool Ki
Ta Umar Meri Bibi Azadar Hi Rahi
Ro Kar Hayat Kati Ghamon Ki Aseer Ny
Likha Hai Marsiya Anees O Dabeer Nay

Kitni Mazloom Hai Zahra

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply