Kazim Ka Hai Janaza Baghdad Ke Pul Lyrics | Mesum Abbas 2019

Kazim Ka Hai Janaza Baghdad Ke Pul Lyrics

Haye Musa e Kazim, Haye Moosa e Kazim
Kazim Ka Hai Janaza, Baghdad Ke Pul Par
Rone Ko Ayeen Zahra (x2), Baghdad Ke Pul Par

Pacheeswi Rajab ko, Taboot He Ye Kaisa
Dooba Huwa Lahu Me, Zanjeer Me Hai Jakra
He teen din se rakha, Baghdad ke pull par

Haroon ne na-jaane kaysa zehar diya he
Tan paash paash haye Kazim ka ho gaya he
Gathri ma aaye Maula, Baghdad ke pull par

Beta Imam ka he, baba Imam ka he
Sheh ki tarha se is pe, ghurbat ki inteha he
Begoro be kafan tha, Baghdad ke pul par

Jis be-watan ki mayat, mazdoor ne uthayi
Mayat pe jis padar ki, beti bhi ro na payi
Roti he us ko dunya, Baghdad ke pul par

Utre badan ke tukre, zanjeer me lipat kar
Masooma dekhti to, mar jaati vo waheen par
Kiss haal me he baba, Baghdad ke pul par

Sarwar ki laadli pe, chauda baras jo roya
Abid ko sath le ke, karne ko us pe girya
Aati he khud Sakina, Baghdad ke pul par

Uth-ta he jab janaaza, haye saathwe Ali ka
Karne ko uss pe girya, aateen hen Bibi Zahra
Logo adab se aana, Baghdad ke pull par

Jab Kazmain jao, Kazim ka gham manane
Ay Arsalan o Mesum, Wajib huwa he tum pe
Taboot tum uthana, Baghdad ke pull par

Kazim ka he janaza, Baghdad ke pul par

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply