Ghazi Ka Sar Lyrics | Mesum Abbas 2018

Ghazi Ka Sar Lyrics

Ye kaun log hain ye qaafila kahaan he rawaan?
Haseen chaand se chehre hain kuch sina pe ayaan
Inhi sarron me se ek sir juda juda dekha
Faras ke saath jo gardan me hai bandha dekha

Haaye,

Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Naize pe sir hussain ka kuch yoon bhi ro raha he,
Ghazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Naizon pe sab ke sir hai ghazi ka sir kahaan he
Bechain he sakina aayi labon pe jaan he
Ghush kha ke gir gayi vo zaalim se jab suna he,
Ghazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Bepardagi pe nauha aur ghairaton pe matam
Sarwar ke sir se poocho ye bekasi ka alam
Zainab ka sir khula hai abid ka sar jhuka hai,
Ghazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Kaise bayaan karoon main abbas ke safar ko
Ghore ke gayso’oun se bandha jari ke sar ko
Rahwar bhi safar main rota hua chala he,
Ghazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Kya haal kardiya hai sadaat ke sarron ka
Sar ko shahe huda ke tandoor me he rakha
Akbar ke sar ko haaye sandooq me rakha he,
Ghazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Saidaaniyo ke sar jab mohtaaj hain rida ke
Sar ghazi bawafa ka naize pe kaise tehere
Tehera na jo sina pe to ye sitam hua he,
Ghaazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Abbas aur sakina qismat he ek jaisi
Naaqe ki pusht per he baandhi gayi bhateeji
Kamsin ka rasiyyon me jakra hua gala he,
Ghaazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Salman aur mesum vo bawafa dilawar
Naize pe bhi na aaya aaqa ke vo barabar
Sultan e karbala ka naize pe sar chala he,
Ghaazi ka sar bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he
Gardan me rahwar ki ghaazi ka sir bandha he

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply