Dil Ba Dil Lyrics | Mesum Abbas 2018

Dil Ba Dil Lyrics

Na jaane kyun jo muharram ki fiza chaahne lage
Dharkan e dil se bhi matam ki sada aane lage

Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Ye dua e sayyeda he, ye dua abaad rahe

Chahte ho tum agar kaaba rahe abaad to
Chahte ho tum agar kaaba rahe abaad to
Ye dua karte raho ke karbala abaad rahe,
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe

He dawa har marz ki shabbir ke qadmon ki khaak

Khaak e paaye shah e deen khaak e shifa abaad rahe
Dill ba dlil, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Muntaqil mujh se mere bachon me ho sheh ki aza

Nasl me meri aza ka silsila abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Ye sabeelain ye azakhaane juloos o majlisain

Ye salaam o marsiya nauha sada abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Parhke quran nok e naiza par kaha shabbir ne

Hum rahain ya na rahain zikr e khuda abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dill ba dill, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Ahle matam zakhme abid yaad rakhne ke liye

Matam e zanjeer ki har dum sada abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Hain wafadaare sakina jo uthate hain alam

Ta qayamat unke dil me ye wafa abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Nauhakhwani nauhagoyi hai ata shabbir ki

Mesum o salman per bhi ye ata abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe
Dil ba dil, seena ba seena, ye aza abaad rahe

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply