Bus Haider Haider Hoga Lyrics
Haider…Haider
Haider…Haider
Ali Ali Haq Haider
Ali Ali Haq Haider
Haider-Haider-Haider
Haider-Haider-Haider
Nabiyoñ Ne Pukara Haider
Waliyoñ Ne Pukara Haider
Lamhoñ Ne Pukara Haider
Sadiyoñ Ne Pukara Haider
Arsh-o-Zamiñ Kya
Jinn-o-Bashar Kya
Sabke Laboñ Par Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
13 Rajab Ki Eid Aayi Hai
Shor Ye Ghar-Ghar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Charo Taraf Khushiyoñ Ka Samañ Hai Jhoom Ke Sare Bolo
Tum Bhi Misaal-e-Bu-Zar Qambar
Raaz Wila Ke Kholo
Aaj Fiza Me Zikre Ali
Daamad-e-Payamber Hoga
Ali Ali Ali Ali
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Jiske Liye Khaliq Ne Banaya Tha Ye Khana-e- Kaaba
Yaani Khuda Ke Ghar Ka Maalik
Ghar Me Hai Aane Wala
Wada Hai Ye Allah Ka
Jab Tak Allah Hu Akbar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Haideriam. Haideriam. Haidariam
Haidariam. Haideriam. Haidariam
Poochhenge Jab Farishte, Laya Hai Kis Ki Nisbat
To Kah Duñga Maiñ Saaf Unse Ke Sun Lo Ye Haideriam
Haidariam. Haideriam. Haidariam
Haidariam. Haideriam. Haidariam
Baad e Qaza Ka Khauf Nahi, Hai Ye Mera Aqida
Jo Momin Hai Uski Lahad Me Aa Jaate Haiñ Mola
Ye Hai yaqiñ Jab Mola Meri Qabr Ke Andar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Kaisa Nizaam-e-Ishq Rakha Hai
Rab Ne Bashar Ke Aage
Sare Jahañ Ke Sar Ko Jhukana tha
Haider Ke Aage
Ek Zacha Khane Ke
Charo Samt Jo Chakkar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Ali Da Malang Maiñ Tey Ali Da
Ali Da Malang Maiñ Tey Ali Da
Mola Ali Nall Nisbat Meri
Chadd Gaya Mainu Haideri Rang
Ali Da Malang Maiñ Te Ali Da
Ali Da Malang Maiñ Te Ali Da
Zikr e Ali Hai Ain Ibadat Qaul Hai Paighamber Ka
Wajib Hai Haider Ki Wilayat
Qaul Hai Paighamber Ka
Ishqe Ali Ko Dil Me Basa Le
Tu Bhi Qalandar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Arshe Bariñ Pahuñche Jo Mohammad Baat Khuda Se Karne
Sunte He Awaaz Kaha Jibreel Se Ye Sarwar Ne
Rab To Nahi Parde Ke Peeche Mera Bradar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Saare Nabi Aur Saare Farishte Bole Zamiñ Par Aa Kar
Sabse Badi Tou Eed Yehi Hai Aaye Jahañ Me Haider
Khuld-e-Bariñ Me Jashn Bapa Hai
Jashn Zamiñ Par Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Binte Asad Ko Dene Mubarak Mariyam o Sara Aayiñ
Lab Pe Saja Ke Mid’hat e Haider Phool Ke Tohfe Layiñ
Mad’ha Sara Jab Arshe Bariñ Par Saaqi-e-Kausar Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Nara Ali Ka Kyuñ Na Lagayeñ Mesum o Mazhar Dono
Aaj Qaseede Sabko Sunayeñ Mesum o Mazhar Dono
Tifl o Jama o Peer Sabhi Ke Nara Laboñ Par Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Bas Haider Haider Hoga
Ham Aashiq Kis Ke? Haider Ke
Deewane Kis Ke? Haider Ke
Ham Chahne Wale, Haider Ke
Mar Mitne Wale, Haider Ke
Qambar Qambar, Bu-Zar Bu-Zar
Haider Haider Haider Haider
Maalik Maalik, Ashtar Ashtar
Haider Haider Haider Haider
Murda Bole Khakar Thokar
Haider Haider Haider Haider
Humko Le Chal Khuld Ke Andar
Haider Haider Haider Haider
Faatahe Khaibar, Fatahe Lashkar
Haider Haider Haider Haider
Haider Haider Haider Haider
Haider Haider Haider Haider