Ay Soghwaro Aaho Buka – Marsiya

Ay soghwaro aaho buka ka maqaam hai

ab ruqsat e hussain alai-his salaam hai

mehmaan tumhara jaata hai jo tashna kaam hai

sar peeto khaak udao ke maatam tamam hai

     ab wo sada e haye hussaina na aayegi

     ghar may tumhare fatema zehra na aayegi

ay shaah e karbala teri qidmat na ho saki

ay kushta e jafa teri qidmat na ho saki

ay jaane fatema teri qidmat na ho saki

mehman e nainawa teri qidmat na ho saki

     jee bhar ke ro sake na ye gardish naseeb ki

     majlis ye aakhri hai hussain e ghareeb ki

agle baras hussain moharram may aayenge

baaqi rahi hayaat to ye gham manayenge

aur fatema ke laal par aansoo bahayenge

gar mar gaye to qabr may hum khaak udayenge

     tayyar khaafela hai shah e mashraqain ka

     lo karbala ko jaata hai kunba hussain ka

abbas e ba-wafa ali akbar na jaaiye

jhoole ko khaali chod ke asghar na jaaiye

lekar baraat qasim e bepar na jaaiye

veeran makaan hota hai sarwar na jaaiye

     aayi sada na rowo azaadar aayenge

     phir agle saal apne bhare ghar ko layenge

bin byaah noujawan ali akbar bhi aayenge

nasgj e akan je saath baradar bhi aayenge

bano ki godh may ali asghar bhi aayenge

noushaah banke qasim e bepar bhi aayenge

     zainab ka haat thaame sakina bhi aayegi

     ek shab ki byahi fatima kubra bhi aayegi

zainab ke laal baandh ke hathyaar aayenge

sughra mareez abid e beemaar aayenge

shabbar ke saath hyder e karrar aayenge

zehra ko thaame ahmed e mukhtar aayenge

     dil kyun na beqarar ho binte rasool ka

     majrooh aaj tak bhi hai pehlu batool ka

bechain fatema hai na aansu bahao tum

mai jaa raha hoon roke na mujh ko rulao tum

zehmat na ho to meri ziyarat ko aao tum

turbat pe aake ashkon ki chadar chadhao tum

     mehman jo karbala may mere paas aayenge

     un sab ki peshwaai ko abbas aayenge

lo alvida hota hai ruqsat ye tashna kaam

tum ro rahe ho maah e muharram se subho shaam

kausar pe apne haath se doonga mai bhar ke jaam

ruqsat hussain hota hai tum par mera salaam

     dono jahan may khush raho aur shaad tum raho

     amma duayein dethi hai aabad tum raho

haan aashiqo hussain ki aaho buka karo

zehra ka saath do madad e mustafa karo

haqq e mohabbat e shah e bekas ada karo

ab kooch hai hussain ka mehshar bapa karo

     lo ab vida kijiyo aal e rasool ko

     do aakhri hussain ka pursa batool ko

ay tashna kaam o bekas o nakaam alwida

ay mubtela e hasrat o aalam alwida

ay be-kafan ali ke gul andaam alwida

mazbooh taygh e shimr bad anjaam alwida

     mazlumiyat pe aap ki jaan apni khoyenge

     jab tak hai zinda aap ke maatam may royenge

ay shah e karbala e moalla salaam lo

hum bekason ke waali o maula salaam lo

aaqa salaam lo shah e waala salaam lo

ay fatema ke chand hamara salaam lo

     ruqsath ye aakhri hai dilafgaar aaye hai

     maula salaam lo ye azadaar aaye hai

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply