Maa Dekh Mene Lyrics | Farhan Ali Waris 2009

Maa Dekh Mene Lyrics

Haaye, Ghore Se Jab Zameen Par
Aye Shahe Zaman
Dekha Ke Ran Me Fatema Zehra He Mojizan
Are Balon Se Jharti He Zamee(N) Qatlagah Ki
Madar Ko Dekha Aur Ye Maula Ne Aah Ki
(Maa) ,Dekh Meine (Sab Luta Diya)
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine (Sab Luta Diya)

Sehra Ko Apne Khun Se Meine Basa Diya
Jo Karsaka Na Koi Woh Karke Dikha Diya
Lashon Se Meine Dashte Bayabaa(N) Sajadiya
Bachpan Mein Who Jo Wada Kiya Tha Nibhadiya
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine (Sab Luta Diya)

Khaak Aur Khoo(N) Mein Jalta Badan Dekhle Mera
Barbaad Ho Chuka He Chaman Dekhle Mera
Kaante Pare Huwe Hein Dahan Dekhle Mera
Dil Muztarib He Aisa Ke Jaise Bhujadiya
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine(Sab Luta Diya)

Who Dekho Hum Shabihe Payambar Ki Laash Ko
Tukre Pare Hein Qasime Muztar Ke Dekhlo
Asghar Ki Qabr Dashte Bayabaa(N) Mein Dekhlo
Zainab Ke Laadlo(N) Ko Bhi Ban Me Suladiya
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine (Sab Luta Diya)

Ghore Se Jab Zameen Pe Aya Jawaan Pisar
Mein Ban Me Aya Thokre Khata Bachashme Tar
Barchi Ka Phal Jo Khencha To Tukre Huwa Jigar
Is Gham Ne Jeeteji Mujhe Lasha Bana Diya
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine (Sab Luta Diya)

Aisa Huwa Shaheed Who Qasim Sa Nek Naam
Tukron Mein Bat Ke Rehgaya Us Ka Badan Tamam
Qasim Ki Maa Ke Azm Ko Meine Kiya Salam
Marne Ke Waste Use Dulha Banadiya
Maa Dekh maine Sab Luta Diya
Maa Dekh maine (Sab Luta Diya)

Teere Sitam Tha Ek Magar Zakhmi Kargaya
Asghar Ka Halq Maa Ka Kaleja Jigar Mera
Asghar Ko Leke Khaime Me Wapis Na Ja Saka
Is Karbala Ki God Mein Usko Chhupa Diya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Qurban Mujhpe Hogaye Zainab Ke Ladle
Meri Nazar Mein Yeh Bhi To Akbar Se Kam Ne The
Laashe Utha Ke Dono Ke Laaya Jo Dasht Se
Zainab Ki Khamshi Ne Ye Nauha Suna Diya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Amma Tere Hussain Ka Woh Pehla Jaanisaar
Jo Fitratan Bhi Hur Tha Huwa Akse Aashkar
Ghazi Ki Tarha Hur Ke Liye Mein Hun Sogwaar
Hur Jaise Bawafaa Ko Bhi Meine Gawadiya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Amma Gayi He Furqate Abbas Tor Kar
Zainab Ki Aas Pyason Ka Dil Aur Meri Kamar
Lipti Alam Se Baali Sakina He Nawhagar
Bhai Ke Gham Ne Mujhko Yahi Marsiya Diya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Apne Pisar Ke Khu(N) Se Wuzu Kar Chukka Husain
Laasho(N) Se Karbala Ki Zamee(N) Bhar Chukka Husain
Subha Se Kitni Baar Yaha(N) Marchuka Hussain
Aaghosh Mein Sulade Ghamo(N) Ne Thaka Diya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Kya “Mazhar Abidi” Likhe “Farhan” Kya Pare
He Kisme Itni Taap Ke Maqtal Bayan Kare
Awaaz Ab Bhi Ati He Dashte Kitaal Se
Is Karbala Ko Arshe Mualla Bana Diya
Maa Dekh mene Sab Luta Diya
Maa Dekh mene (Sab Luta Diya)

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply