Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya
Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya Lyrics | Farhan Ali Waris 2023

Jangalo Ki Nazar Qafla Hogaya Lyrics

Hayay Yasrab se jab ek musafir chala
Apna ghar chorh kar deen ki khatir chala
us ne socha tha kia, or kia hogaya

Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Kafilay ka jo Sardar o Salar tha
us se piyare Nabi ko Bara Piyar tha
Baad piyare Nabi ke Musalman ne
Uska kata gaya hal aisa kia
Thak gaien us ki behnain, bahu, baitiyan

Uska zakhmi badan dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Qatl karne par hi iktafa na kia
uske lashe pe ghoray bhi dorha diyaya
kati ungli unghuti utari gai
loot kar jism ka perahan le gayay

Uski hamsheer qatil ke ghar tak gaien
Bhai ka perahan dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Ek nanha sa lasha jo shabir ne
Khake Karbal main ro ro kar dafna diya
Hayay aisi jafa baad marne ke bhi
Uski turbat pe ki zulm ki inteha

Kitne maloon naizay liye agayay
Ek dashna dahan dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Ek dulha bhi tha jab woh ran main gaya
Usko zinda hi ghoroun se ronda gaya
Lasha laine jo aieyay to ek meel se
Uske tukroun ko chunte they shah e huda

Hayay Shabir ko teen din ghante lagay
apne Qasim ka dhun dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Ek Masoom ko neend anay lagi
yaad baba ki usko satanay lagi
apne baba ka seena rahi dhonthti
Rooze Ashur jab sham chane lagi

Kis tarhan se Sakina gai Qatl gah
Sheh ka Zakhmi Badan dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Tujh ko ghusl kafan de Sakina Bahan
Sakht dukh hain ke tu dafn na hosaka
kitni bebas thi main tujhse pooche bina
mujhko bandhe rasan sham jana para

Waqt milta to jati main Yasrab talak
Teri khatir kafan dhondhte dhondhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte

Hayay, Uske duniya main bhi jitne ghum khar they
woh they hairan hayay yeh kia hogaya
Kis sadke main abad hain bastiyan
ek lamhe main hi woh kahan kho gaya

Chalke Arif sabhi khuld tak agayay
Bewatan ka watan dhonhte dhonhte
Jangalo ki nazar qafla hogaya
Aamn ka ek watan dhondhte dhondhte x2

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply