Bus Ali Sardar Lyrics | Farhan Ali Waris 2023

Bus Ali Sardar Lyrics

Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Janam
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Janam

Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Janam
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Janam

Ash ha du anna aliyan waliyullah
Ash ha du anna aliyan hujjatullah

Tera ali, mera ali, rab ka wali, haider e qarrar
Noor e jali, nafs e nabi, maula ali, haider e qarrar

Ishq e ali jisko mila usne sadaa di

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Naara ali ka jo maara hogaya phir beda paar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Bole malang saare, maula ali ke pyaare
mere maula ke jaisa koi nahi
dee’n ka sardaar ali, kul ka mukhtar ali
koi ali sa hai to laao kahi

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Hum hai malangane ali humse na tum uljho yaar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Jab bhi maida’n mein aaya, aise dushman pe chaya
sar kahi’n pheka badan aur kahi’n
kaisa marhab ko maara, antar ka sar utara
thar thar thar kaape falak aur zamee’n

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Sar sar karti kuffaro pe chalti rahi zulfiqar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Itna baland hai ali….
Itna baland hai ali….

Mushkile bhagane wala, bigdi ko banane wala
raasta dikhane wala hai..
Har dil pe chane wala hai

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Shah e mardaa’n shere yazda’n quwat e parwardigar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Patthar pe alam gaada, khaibar ka darr ukhada
suraj paltaya badi shaan se
Jab chali teghe ali, haibat se bhage shaqi
jo bhi takraya gaya jaan se

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Karti thi talwar ali ki ek bande ke tukde char

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Ali, Ali Ali
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali

Hijab e kibriyayi
usi ki hai khudayi
sitaro se bhi aage hai
ali ki badshahi..(2)

Ali ka ek hai darr
jaha’n pe sar jhuka kar
bane salman abuzar aur
bane saare qalandar..(2)

Nahi dekha koi banda nigaho ne ali jaisa
shab e hijrat jo sota hai to lagta hai nabi jaisa
Abu talib ka beta
Ali shauhar Zahra ka
Ali hasnain ka baba
Ali qambar ka aaqa aur
ALi hum sabka hai maula

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Palano ke mimbar ye kehke gaye hai sarkar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Zikr e ali ibadat, madh e ali tilawat
duniya se Mazhar o Farhan bole
tera bhi ALi Waris, mera bhi Ali Waris
dil jo bataye wo imaan bole

Shah e mardaan ali
Sher e yazdaan ali
Jaan Ali, Jaan Ali

Usse apna kya rishta hai jisko hai inse inkar

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Ali.. Ali..
Ali Ali Ali Ali

Bus ali, ali, sardaar sardaar..(4)

Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Ali, Ali
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali
Ali Ali Ali, Ali Ali Ali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply