Ana Ali Lyrics
Ya Ali
Aisy Aye Ali Akbar Maidan E Fighan
Jaisy Badli Sy Naya Chand Namoodar Hua
Jaisy Tasveer E Muhammad Sy Utha Ho Parda
Jaisy Haider Ki Jawani Ka Chalan Jalwa Numa
Yak Bayak Salle Alaa Nahra E Akbar Goonja
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Naam Akbar Ali Akbar Hai Mera
Main Hussain Ali Ka Beta
Kha Raha Hun Qasam Ay Bait Ullah
Ham Ko Hasil Sharaf E Khoon E Nabi
Bad Nasab Hum Py Hukoomat Karta
Na Hua Hai, Na Kabhi Ho Sakta
Wallah Wallah Aba Abdillah
Main Fida Tum Py Hussain Ibne Ali
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Shamion Ab Mera Hamla Dekkho
Zarbat E Syed E Wala Dekho
Meri Talwar Ka Chalna Dekho
Zarbat E Hashmi Zarb E Alawi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Keh Ky Yeh Faoj Mein Dooba Woh Shuja E Azali
Nahra Zan Tha Ky Ana Hussain Ibne Ali
Teer Chalny Lagy, Naizey Chaly, Talwar Chali
Barq E Shamsheere Do Dam Sy Safe Kuffar Jali
Kis Tarha Larhta Hai Hum Shakal E Payambar Dekho
Aaj Shamsheer E Hussaini Ky Bhi Johar Dekkho
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Palty Maidan Sy Fighan Karty Huye
Aa Ky Baba Sy Yeh Akbar Boly
Thora Pani Mery Baba Jo Mily
Dekhna Phir Sy Meri Taigh Zani
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Boly Sheh Sookhi Zuban Dikhla Kar
Munh Mein Rakh Lo Yeh Angoothi Akbar
Aisa Sharbat Tumhen Den Gy Haider
Jis Ko Pee Kar Tumhen Kehna Hai Yehi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Ran Mein Ja Kar Woh Bahut Dair Larhy
Char Janib Sy Adoo Toot Parhy
Nobaten Bajny Lageen Jab Woh Giry
Aik Sada Goonji Aba Adrikni
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Sun Ky Awaz E Pisar Sheh Dorhy
Khai Thokar Kabhi Gir Kar Sambhly
Ghutniyon Chalty Huye Jab Pahunchy
Ali Akbar Ki Yeh Awaz Suni
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi
Kya Kare Ab Tera Baba Jee Kar
Khak Duniya Hai Tere Bad Akbar
Noha Jari Tha Rehan O Sarwar
Ran Mein Roti Thi Sada E Zakhmi
Ana Ali Yabnul Hussain Abna Ali
Nahno Wa Baitullah Aula Bin Nabi
Zarbe Ghulamin Hashimi’in Alawi