Yeh Meri Dua Hai Lyrics
Yeh Meri Dua Hai (x4)
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai (x2)
Zahra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai (x2)
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga (x2)
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zahra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai (x2)
Ik Pyas Mein Sajda Jo Tah E Taigh Kiya Hai
Tab Ja K Kahin Deen Payambar Ka Bacha Hai
Yeh Aur Kisi Ny Nahi, Zehra Ny Kaha Hai
Paigham E Hussain Ibne Ali Zinda Rahy Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Ham Matami Shabbir Ky, Hum Ahle Aza Hain
Hum Qalb E Payambar Ky Dharakny Ki Sada Hain
Hum Madar E Shabbir Ki Makhsoos Dua Hain
Hathon Mein Sada Parcham E Abbas Rahy Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Hai Ulfat E Shabbir Meri Maan Ki Amanat
Ghutti Mein Pilai Hai Shah E Deen Ki Muhabbat
Hai Tazia Daari Meri Makhsoos Ibadat
Har Daor Mein Sikka Gham E Sarwar Ka Chaly Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Khush Hon Gy Nabi Majlis E Shabbir Mein Ao
Hurr Ban K Chalo Bigrhy Muqaddar Ko Banao
Mazloom Ky Matam Mein Zara Ashk Banao
Ghazi Ka Alam Dhoop Mein Saya Tumhen Dy Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Hum Aman Ka Paigham Sunaty Hain Jahan Ko
Ashoor Ko Kya Guzri Bataty Hain Jahan Ko
Farsh E Gham E Sarwar Py Bulaty Hain Jahan Ko
Is Dar Py Jo Aaya Hai Wo Izzat Sy Jiye Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Baqi Hain Aza Akbar E Dilgeer Ky Dam Sy
Sajda Hai Bacha Hazrat E Shabbir Ky Dam Sy
Baqi Hai Haya Zainab E Dilgeer Ky Dum Sy
Aandhi Mein Charagh E Gham E Shabbir Jaly Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Mehsoos Yeh Hota Hai Raza Kehti Hai Zehra
Parhty Raho Yun Hi Mery Shabbir Ka Noha
Khud Aun Gi Main Sun’ny Ali Jee Jo Parhy Ga
Jo Roye Ga Jannat Mein Mery Sath Rahy Ga
Islam Sada Zinda O Painda Rahy Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai
Zehra Ny Kaha Matam E Sarwar Na Ruky Ga
Yeh Meri Dua, Meri Dua, Meri Dua Hai